faza mein parindon ki chahkar kya thi
fazā meñ parindoñ kī chahkār kyā thī
kahānī sī dariyā ke us paar kyā thī
achānak nikal aaya bastī meñ sūraj
mirī ārzūoñ kī raftār kyā thī
jo iqrār kī sab hadeñ miT ga.iiñ thiiñ
shab-e-vasl vo tarz-e-inkār kyā thī
manānā paḌā fat.h kā jashn mujh ko
mirī jiit kyā thī mirī haar kyā thī
hamesha mujhe hijr meñ us ne rakkhā
na jaane mohabbat kī mahkār kyā thī
bhare shahr meñ rah gayā vo akelā
vo laḌkī kisī kī taraf-dār kyā thī
kabhī tere sapne mayassar na aa.e
mire saath shab-hā-e-bedār kyā thī
koī dard thā yā sañdesa thā koī
un āñkhoñ meñ ashkoñ bharī dhaar kyā thā
kabhī mujh pe khul jā ai sub.h-e-gurezāñ
batā rat-jagoñ kī vo takrār kyā thī
'sadaf' maiñ kabhī ḳhud se milne na paa.ī
mire darmiyāñ koī dīvār kyā thī
raqīb aa.e merī ayādat kī ḳhātir
ye 'suġhrā-sadaf' terī bīmār kyā thī
faza mein parindon ki chahkar kya thi
kahani si dariya ke us par kya thi
achanak nikal aaya basti mein suraj
meri aarzuon ki raftar kya thi
jo iqrar ki sab haden miT gain thin
shab-e-wasl wo tarz-e-inkar kya thi
manana paDa fath ka jashn mujh ko
meri jit kya thi meri haar kya thi
hamesha mujhe hijr mein us ne rakkha
na jaane mohabbat ki mahkar kya thi
bhare shahr mein rah gaya wo akela
wo laDki kisi ki taraf-dar kya thi
kabhi tere sapne mayassar na aae
mere sath shab-ha-e-bedar kya thi
koi dard tha ya sandesa tha koi
un aankhon mein ashkon bhari dhaar kya tha
kabhi mujh pe khul ja ai subh-e-gurezan
bata rat-jagon ki wo takrar kya thi
'sadaf' main kabhi KHud se milne na pai
mere darmiyan koi diwar kya thi
raqib aae meri ayaadat ki KHatir
ye 'sughra-sadaf' teri bimar kya thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.