faza mein zahr ghola humne KHud ab dam nikalta hai
fazā meñ zahr gholā ham ne ḳhud ab dam nikaltā hai
ajal kā pairahan oḌhe har ik mausam nikaltā hai
bhaTakte kyoñ haiñ marham ke liye ham dasht-o-sahrā meñ
hamāre zaḳhm ke andar hī se marham nikaltā hai
hamāre jism ke andar base haiñ saikḌoñ 'ālam
har ik 'ālam ke andar ik nayā 'ālam nikaltā hai
hamārī kāmrānī ne kiyā sūraj ko bhī zaḳhmī
ki ik saaya hamāre jism se pur-ḳham nikaltā hai
hamāre qalb ke andar bahut hī paak jazbe haiñ
kabhī gañgotarī niklī kabhī zamzam nikaltā hai
tabassum se kisī kā karb kyā jaane bhalā duniyā
ki sho'loñ kā samundar bhī pas-e-shabnam nikaltā hai
ye duniyā jis kī ḳhātir bhāgtā phirtā hai ye insāñ
to phir kyoñ batn-e-mādar se ba-chashm-e-nam nikaltā hai
jalāyā hai bahut hī ātish-e-afkār ne is ko
ki aañsū bhī hamārī āñkhoñ se pur-nam nikaltā hai
taḌap kar aag ugaltī hai zamīñ apne dahāne se
to kartā abr bhī ab girya-o-mātam nikaltā hai
zamāna kyā bhalā 'tauqīr' jaane dūsre kā ġham
use mā'lūm hotā hai ki jis kā dam nikaltā hai
faza mein zahr ghola hum ne KHud ab dam nikalta hai
ajal ka pairahan oDhe har ek mausam nikalta hai
bhaTakte kyon hain marham ke liye hum dasht-o-sahra mein
hamare zaKHm ke andar hi se marham nikalta hai
hamare jism ke andar base hain saikDon 'alam
har ek 'alam ke andar ek naya 'alam nikalta hai
hamari kaamrani ne kiya suraj ko bhi zaKHmi
ki ek saya hamare jism se pur-KHam nikalta hai
hamare qalb ke andar bahut hi pak jazbe hain
kabhi gangotari nikli kabhi zamzam nikalta hai
tabassum se kisi ka karb kya jaane bhala duniya
ki sho'lon ka samundar bhi pas-e-shabnam nikalta hai
ye duniya jis ki KHatir bhagta phirta hai ye insan
to phir kyon batn-e-madar se ba-chashm-e-nam nikalta hai
jalaya hai bahut hi aatish-e-afkar ne is ko
ki aansu bhi hamari aankhon se pur-nam nikalta hai
taDap kar aag ugalti hai zamin apne dahane se
to karta abr bhi ab girya-o-matam nikalta hai
zamana kya bhala 'tauqir' jaane dusre ka gham
use ma'lum hota hai ki jis ka dam nikalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.