fazaen is qadar be-kal rahi hain
fazā.eñ is qadar be-kal rahī haiñ
ye āñkheñ raat bhar jal-thal rahī haiñ
dabe paañv mirī tanhā.iyoñ meñ
havā.eñ ḳhvāb ban kar chal rahī haiñ
sahar-dam sohbat-e-rafta kī yādeñ
mire pahlū meñ āñkheñ mal rahī haiñ
tirā ġham kākuleñ khole hue hai
mire siine meñ shāmeñ Dhal rahī haiñ
añdheroñ meñ kamī kyā hogī lekin
ye sham.eñ shaam hī se jal rahī haiñ
'ziyā' in sā.atoñ meñ kho ga.e ham
khulī āñkhoñ se jo ojhal rahī haiñ
fazaen is qadar be-kal rahi hain
ye aankhen raat bhar jal-thal rahi hain
dabe panw meri tanhaiyon mein
hawaen KHwab ban kar chal rahi hain
sahar-dam sohbat-e-rafta ki yaaden
mere pahlu mein aankhen mal rahi hain
tera gham kakulen khole hue hai
mere sine mein shamen Dhal rahi hain
andheron mein kami kya hogi lekin
ye shamen sham hi se jal rahi hain
'ziya' in saaton mein kho gae hum
khuli aankhon se jo ojhal rahi hain
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 425)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.