fazl mujh par mere KHuda ka hai
fazl mujh par mire ḳhudā kā hai
ye karishma kisī duā kā hai
imtihāñ ab mirī anā kā hai
ye taqāza tirī razā kā hai
bahr-e-tāzīm surḳh-rūī hai
faiz ye sab tirī atā kā hai
bādshāhoñ ko sar-nigūñ dekhā
martaba ye tire gadā kā hai
kaun kis ko vafā-shanās kahe
raaj har samt ab jafā kā hai
mujh ko rusvā.iyoñ ne gher liyā
sar meñ saudā tirī vafā kā hai
jis se insāniyat hai sharminda
ye tarīqa hī irtiqā kā hai
jis kī tahrīr se kiran phūTī
ḳhat ye 'maqsūd' ḳhush-adā kā hai
fazl mujh par mere KHuda ka hai
ye karishma kisi dua ka hai
imtihan ab meri ana ka hai
ye taqaza teri raza ka hai
bahr-e-tazim surKH-rui hai
faiz ye sab teri ata ka hai
baadshahon ko sar-nigun dekha
martaba ye tere gada ka hai
kaun kis ko wafa-shanas kahe
raj har samt ab jafa ka hai
mujh ko ruswaiyon ne gher liya
sar mein sauda teri wafa ka hai
jis se insaniyat hai sharminda
ye tariqa hi irtiqa ka hai
jis ki tahrir se kiran phuTi
KHat ye 'maqsud' KHush-ada ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.