naqsh aankhon mein utara jaega
naqsh āñkhoñ meñ utārā jā.egā
phir safar meñ din guzāra jā.egā
pahle dāḳhil hogā shab ke shahr meñ
phir savere ko pukārā jā.egā
jab umīdeñ ḳhatm sab ho jā.eñgī
vaqt phir kaise guzāra jā.egā
haar kirnoñ kā banā kar jhiil ke
aa.ine meñ din sañvārā jā.egā
dekh le gar ik nazar sūraj ise
kohra ye be-maut maarā jā.egā
thaam kar rakh tinkā varna ek din
haath se ye bhī sahārā jā.egā
jab bhaTak jā.egā sahrā meñ bahut
tab samundar ko pukārā jā.egā
bebasī meñ Duubī nazroñ se falak
ab qafas se bas nihārā jā.egā
naqsh aankhon mein utara jaega
phir safar mein din guzara jaega
pahle daKHil hoga shab ke shahr mein
phir sawere ko pukara jaega
jab umiden KHatm sab ho jaengi
waqt phir kaise guzara jaega
haar kirnon ka bana kar jhil ke
aaine mein din sanwara jaega
dekh le gar ek nazar suraj ise
kohra ye be-maut mara jaega
tham kar rakh tinka warna ek din
hath se ye bhi sahaara jaega
jab bhaTak jaega sahra mein bahut
tab samundar ko pukara jaega
bebasi mein Dubi nazron se falak
ab qafas se bas nihaara jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.