fikr-angez intishaar mein hain
fikr-añgez intishār meñ haiñ
jab se ham 'mīr' ke dayār meñ haiñ
ḳhud se bebāk guftugū kar ke
ek ik lafz ke hisār meñ haiñ
aks ke saath aa.ine boleñ
aise lamhe ke intizār meñ haiñ
kaun un kā shumār jaane hai
kitne dariyā-jū ābshār meñ haiñ
ab koī kis kā ehtisāb kare
jab sabhī ek hī qatār meñ haiñ
un ko lutf-e-ḳhizāñ ho kyā mālūm
qaid jo apnī hī bahār meñ haiñ
fikr-angez intishaar mein hain
jab se hum 'mir' ke dayar mein hain
KHud se bebak guftugu kar ke
ek ek lafz ke hisar mein hain
aks ke sath aaine bolen
aise lamhe ke intizar mein hain
kaun un ka shumar jaane hai
kitne dariya-ju aabshaar mein hain
ab koi kis ka ehtisab kare
jab sabhi ek hi qatar mein hain
un ko lutf-e-KHizan ho kya malum
qaid jo apni hi bahaar mein hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.