fikr bhi ab kya karen sailab ki
fikr bhī ab kyā kareñ sailāb kī
bārisheñ hī ho rahīñ tezāb kī
vaqt vo hai jaal bhī ham bech deñ
machhliyāñ to bik chukīñ tālāb kī
jism ab khaddar ke 'aadī ho ga.e
ab hameñ hājat nahīñ kamḳhvāb kī
jab se kuchh dushman havārī ho ga.e
baḌh ga.iiñ haiñ uljhaneñ ahbāb kī
chhāntā huuñ roz sāgar kī taheñ
justujū meñ gauhar-e-nāyāb kī
fikr bhi ab kya karen sailab ki
barishen hi ho rahin tezab ki
waqt wo hai jal bhi hum bech den
machhliyan to bik chukin talab ki
jism ab khaddar ke 'adi ho gae
ab hamein hajat nahin kamKHwab ki
jab se kuchh dushman hawari ho gae
baDh gain hain uljhanen ahbab ki
chhanta hun roz sagar ki tahen
justuju mein gauhar-e-nayab ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.