fikr-e-asbab-e-tarab gham ke muqabil ho gaya
fikr-e-asbab-e-tarab gham ke muqabil ho gaya
Maharaja Sir Kishan Parashad Shad
MORE BYMaharaja Sir Kishan Parashad Shad
fikr-e-asbāb-e-tarab ġham ke muqābil ho gayā
kulfat-e-sabr-āzmā kyūñkar mirā dil ho gayā
ye jo hastī hai tirī ye hasti-e-mauhūm hai
dekh kar duniyā kī nairangī ko ġhāfil ho gayā
ho ga.ī mushtāq lazzat-hā-e-hasrat merī aañkh
aur kān-e-nā-umīdī haif ye dil ho gayā
tere jalvoñ kī tamanna mere āñkhoñ ko rahī
ik nishāna ālam-e-hairat kā ye dil ho gayā
thī matā.a-e-jalva arzāñ jabki tū thā jalva-gar
jab ḳhayāl-e-ġhair aayā dil bhī ġhāfil ho gayā
joshish-e-fasl-e-bahārī thī javānī yaar kī
dekh kar maiñ us gul-e-ra.anā ko maa.il ho gayā
kis tarah jalva nazar aa.egā tujh ko ai kalīm
darmiyāñ meñ jab hijāb-e-ġhair haa.il ho gayā
mudda.ā mahv-e-tamāshā-e-shikast-e-dil huā
ā.īna-ḳhāne kā ik jalva muqābil ho gayā
Duub kar girdāb-e-ġham meñ ho ga.ī hāsil najāt
mauja-e-sailāb-e-tūfāñ mujh ko sāhil ho gayā
partav-e-ḳhurshīd-e-ālam-tāb idhar bhī ik nazar
der kyā hai ab to maiñ tere muqābil ho gayā
hai mirā sar zer-e-bār-e-minnat-e-bedād-e-yār
us ke altāf-o-ināyat kā maiñ qaa.el ho gayā
apnī sūrat hī nazar aa.ī duī kā zikr kyā
'shād' jis dam aa.ine ke maiñ muqābil ho gayā
fikr-e-asbab-e-tarab gham ke muqabil ho gaya
kulfat-e-sabr-azma kyunkar mera dil ho gaya
ye jo hasti hai teri ye hasti-e-mauhum hai
dekh kar duniya ki nairangi ko ghafil ho gaya
ho gai mushtaq lazzat-ha-e-hasrat meri aankh
aur kan-e-na-umidi haif ye dil ho gaya
tere jalwon ki tamanna mere aankhon ko rahi
ek nishana aalam-e-hairat ka ye dil ho gaya
thi mataa-e-jalwa arzan jabki tu tha jalwa-gar
jab KHayal-e-ghair aaya dil bhi ghafil ho gaya
joshish-e-fasl-e-bahaari thi jawani yar ki
dekh kar main us gul-e-rana ko mail ho gaya
kis tarah jalwa nazar aaega tujh ko ai kalim
darmiyan mein jab hijab-e-ghair hail ho gaya
muddaa mahw-e-tamasha-e-shikast-e-dil hua
aaina-KHane ka ek jalwa muqabil ho gaya
Dub kar girdab-e-gham mein ho gai hasil najat
mauja-e-sailab-e-tufan mujh ko sahil ho gaya
partaw-e-KHurshid-e-alam-tab idhar bhi ek nazar
der kya hai ab to main tere muqabil ho gaya
hai mera sar zer-e-bar-e-minnat-e-bedad-e-yar
us ke altaf-o-inayat ka main qael ho gaya
apni surat hi nazar aai dui ka zikr kya
'shad' jis dam aaine ke main muqabil ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.