fikr-e-baalida ki nudrat se nikharte hain KHayal
fikr-e-bālīda kī nudrat se nikharte haiñ ḳhayāl
aur agar zehn-e-rasā ho to sañvarte haiñ ḳhayāl
aql kab kartī hai farsūda ḳhayāloñ ko qubūl
fikr bedār agar ho to ubharte haiñ ḳhayāl
jiddat-e-fikr se afkār ko miltī hai numū
husn-e-kirdār kī rāhoñ se guzarte haiñ ḳhayāl
zehn ḳhāliq hai ḳhayālāt kā taslīm magar
zehn par sūrat-e-ilhām utarte haiñ ḳhayāl
sohbat iqbāl kī afkār ko detī hai jilā
un kī sohbat meñ bahut ḳhuub nikharte haiñ ḳhayāl
muntashir zehn agar ho to natīja mālūm
sūrat-e-kāh havāoñ meñ bikharte haiñ ḳhayāl
zehn ko fikr kī tahrīk jo mil jaa.e 'qamar'
mahsharistān kī sūrat meñ guzarte haiñ ḳhayāl
fikr-e-baalida ki nudrat se nikharte hain KHayal
aur agar zehn-e-rasa ho to sanwarte hain KHayal
aql kab karti hai farsuda KHayalon ko qubul
fikr bedar agar ho to ubharte hain KHayal
jiddat-e-fikr se afkar ko milti hai numu
husn-e-kirdar ki rahon se guzarte hain KHayal
zehn KHaliq hai KHayalat ka taslim magar
zehn par surat-e-ilham utarte hain KHayal
sohbat iqbaal ki afkar ko deti hai jila
un ki sohbat mein bahut KHub nikharte hain KHayal
muntashir zehn agar ho to natija malum
surat-e-kah hawaon mein bikharte hain KHayal
zehn ko fikr ki tahrik jo mil jae 'qamar'
mahsharistan ki surat mein guzarte hain KHayal
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 475)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.