fikr-e-dauran mein na hasti ko miTate yaro
fikr-e-daurāñ meñ na hastī ko miTāte yaaro
bazm-e-duniyā meñ maze kuchh to uThāte yaaro
mushkileñ aisī nahīñ thiiñ ki na aa sakte tum
va.ada aane kā kiyā thā to nibhāte yaaro
kār-e-duniyā se ye maanā ki pareshāñ ho bahut
ham se milne ke bahāne bhī banāte yaaro
duurī ho jaatī hai aksar yūñhī anjāne meñ
duur rah kar mirā yuuñ dil na dukhāte yaaro
jaise aate the kabhī aa ke mirī duniyā meñ
merī ujḌī huī bastī ko basāte yaaro
kis ko parvā hai mile kaun kahāñ kab kis se
ḳhauf-e-duniyā se na yuuñ ḳhud ko Darāte yaaro
phir se āġhāz-e-mohabbat nahīñ āsāñ itnā
apnī derīna mohabbat ko nibhāte yaaro
paas aate mire ik baar ba-sad-nāz-o-adā
ik jhalak apnī mujhe aa ke dikhāte yaaro
fikr-e-dauran mein na hasti ko miTate yaro
bazm-e-duniya mein maze kuchh to uThate yaro
mushkilen aisi nahin thin ki na aa sakte tum
wada aane ka kiya tha to nibhate yaro
kar-e-duniya se ye mana ki pareshan ho bahut
hum se milne ke bahane bhi banate yaro
duri ho jati hai aksar yunhi anjaane mein
dur rah kar mera yun dil na dukhate yaro
jaise aate the kabhi aa ke meri duniya mein
meri ujDi hui basti ko basate yaro
kis ko parwa hai mile kaun kahan kab kis se
KHauf-e-duniya se na yun KHud ko Daraate yaro
phir se aaghaz-e-mohabbat nahin aasan itna
apni derina mohabbat ko nibhate yaro
pas aate mere ek bar ba-sad-naz-o-ada
ek jhalak apni mujhe aa ke dikhate yaro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.