fikr-e-jahan rahegi gham-e-yar agar nahin
fikr-e-jahāñ rahegī ġham-e-yār agar nahīñ
yā'nī kisī kā dard se ḳhālī jigar nahīñ
maanā ki rakh sakā na kabhī maiñ tirā ḳhayāl
lekin ḳhud apnī zaat kī mujh ko ḳhabar nahīñ
qaa.il har ek shaḳhs hai mere kalām kā
us par kisī bhī baat kā lekin asar nahīñ
sahrā-navardiyoñ kī ijāzat zarūr hai
lekin chaman meñ ahl-e-junūñ kā guzar nahīñ
ḳhatroñ se Darne vaale abhī saath chhoḌ deñ
āsān is qadar bhī hamārā safar nahīñ
jaltā hai tere husn se ye māhtāb bhī
terā asar jahān meñ kis chiiz par nahīñ
dīvār-o-dar se bhī tirī yādeñ haiñ munsalik
yā'nī ki terī zaat se koī mafar nahīñ
'afzal' khuleñge mā'nī-e-ash'ār kab talak
kyā in samundaroñ meñ sadaf aur guhar nahīñ
fikr-e-jahan rahegi gham-e-yar agar nahin
ya'ni kisi ka dard se KHali jigar nahin
mana ki rakh saka na kabhi main tera KHayal
lekin KHud apni zat ki mujh ko KHabar nahin
qail har ek shaKHs hai mere kalam ka
us par kisi bhi baat ka lekin asar nahin
sahra-nawardiyon ki ijazat zarur hai
lekin chaman mein ahl-e-junun ka guzar nahin
KHatron se Darne wale abhi sath chhoD den
aasan is qadar bhi hamara safar nahin
jalta hai tere husn se ye mahtab bhi
tera asar jahan mein kis chiz par nahin
diwar-o-dar se bhi teri yaaden hain munsalik
ya'ni ki teri zat se koi mafar nahin
'afzal' khulenge ma'ni-e-ash'ar kab talak
kya in samundaron mein sadaf aur guhar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.