fikr hai yaron ko darbar se kuchh kaam mile
fikr hai yāroñ ko darbār se kuchh kaam mile
aur jitnā bhī mile un ko hī in.aam mile
maiñ paḌā rahtā huuñ bas gosha-e-tanhā.ī meñ
chāhtā huuñ ki hamesha mujhe ārām mile
sub.h ke vaqt mile hote to ik baat bhī thī
mujh se kuchh log mile bhī to sar-e-shām mile
muntazir huuñ ki ḳharīdār koī haath aa.e
ya.anī bāzār se ab kuchh to mujhe daam mile
zindagī tujh se bahut ruuTh ke maiñ bhāgā thā
raah meñ phir bhī bahut se ġham-o-ālām mile
fikr hai yaron ko darbar se kuchh kaam mile
aur jitna bhi mile un ko hi inam mile
main paDa rahta hun bas gosha-e-tanhai mein
chahta hun ki hamesha mujhe aaram mile
subh ke waqt mile hote to ek baat bhi thi
mujh se kuchh log mile bhi to sar-e-sham mile
muntazir hun ki KHaridar koi hath aae
yani bazar se ab kuchh to mujhe dam mile
zindagi tujh se bahut ruTh ke main bhaga tha
rah mein phir bhi bahut se gham-o-alam mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.