fikr hum ko nahin ki kya hoga
fikr ham ko nahīñ ki kyā hogā
jab kiyā hai burā burā hogā
ham ne jo aap se kahā hogā
aap ne aur kuchh sunā hogā
zindagī rāt-din vahī ki vahī
maut ke paas kuchh nayā hogā
mujh ko tanhā rakhā hai duniyā meñ
mere hisse meñ kuchh bachā hogā
ḳhushbū merī churā ke vo gum hai
har galī gul khilā rahā hogā
fikr hum ko nahin ki kya hoga
jab kiya hai bura bura hoga
hum ne jo aap se kaha hoga
aap ne aur kuchh suna hoga
zindagi raat-din wahi ki wahi
maut ke pas kuchh naya hoga
mujh ko tanha rakha hai duniya mein
mere hisse mein kuchh bacha hoga
KHushbu meri chura ke wo gum hai
har gali gul khila raha hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.