fikr kar uqba ki izzat ka agar arman hai
fikr kar uqbā kī izzat kā agar armān hai
chaar din duniyā-e-fānī kā bashar mehmān hai
ḳhair-o-shar kā jā.eza letā rahā jo har-nafas
chashm-e-haq-āgāh meñ be-shak vahī insān hai
aa.e haiñ duniyā meñ ham to kaam bhī achchhe kareñ
varna samjho zindagī gumnām hai be-jān hai
jin ko rusvā kar rahā hai ḳhud-parastī kā nasha
un se ummīd-e-vafā jo rakkhe vo nādān hai
mauj-e-ġham se sirf Takrānā nahīñ koī kamāl
pur-sukūñ māhaul bhī ai dosto tūfān hai
jis ne kal apnī mohabbat se kiyā thā āshnā
va.ada-e-mehr-o-vafā se aaj vo anjān hai
jaane vaale apnī yādeñ de ga.e taskīn ko
merī tanhā zindagī par un kā ye ehsān hai
is tarah tablīġh-e-dīñ 'ayyūb' ho saktī nahīñ
teġh hai ik haath meñ ik haath meñ qur.ān hai
fikr kar uqba ki izzat ka agar arman hai
chaar din duniya-e-fani ka bashar mehman hai
KHair-o-shar ka jaeza leta raha jo har-nafas
chashm-e-haq-agah mein be-shak wahi insan hai
aae hain duniya mein hum to kaam bhi achchhe karen
warna samjho zindagi gumnam hai be-jaan hai
jin ko ruswa kar raha hai KHud-parasti ka nasha
un se ummid-e-wafa jo rakkhe wo nadan hai
mauj-e-gham se sirf Takrana nahin koi kamal
pur-sukun mahaul bhi ai dosto tufan hai
jis ne kal apni mohabbat se kiya tha aashna
wada-e-mehr-o-wafa se aaj wo anjaan hai
jaane wale apni yaaden de gae taskin ko
meri tanha zindagi par un ka ye ehsan hai
is tarah tabligh-e-din 'ayyub' ho sakti nahin
tegh hai ek hath mein ek hath mein quran hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.