fikr ko chand sitaron se guzara jae
fikr ko chāñd sitāroñ se guzāra jaa.e
āsmānoñ ko bulandī se utārā jaa.e
aaj kī raat charāġhoñ pe bahut bhārī hai
aaj kī raat havāoñ ko sahārā jaa.e
be-hisī oḌh ke kahte haiñ mire shahr ke log
jaise guzre ye shab-o-roz guzārā jaa.e
ab nahīñ ā.eñge zanjīr hilāne vaale
apne hī naam se ab ḳhud pukārā jaa.e
jin ko tahzīb na ādāb-e-mohabbat ma.alūm
aise logoñ ke yahāñ kaun dobāra jaa.e
fikr ko chand sitaron se guzara jae
aasmanon ko bulandi se utara jae
aaj ki raat charaghon pe bahut bhaari hai
aaj ki raat hawaon ko sahaara jae
be-hisi oDh ke kahte hain mere shahr ke log
jaise guzre ye shab-o-roz guzara jae
ab nahin aaenge zanjir hilane wale
apne hi nam se ab KHud pukara jae
jin ko tahzib na aadab-e-mohabbat malum
aise logon ke yahan kaun dobara jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.