fikr kya isko ye dil aur jigar kya hoga
fikr kyā is kī ye dil aur jigar kyā hogā
tere saudā.ī ko andesha-e-sar kyā hogā
dasht-paimā.ī se dīvāne ko hāsil kyā hai
koī manzil nahīñ jis kī vo safar kyā hogā
lutf jab hai ki Tapakte raheñ tham kar aañsū
sail-e-ashk aaya to ai dīda-e-tar kyā hogā
dil meñ ho yād-e-ḳhudā aur sanam pesh-e-nazar
aise unvāñ ke liye zauq-e-nazar kyā hogā
hai mazā jab ki Tapaktā rahe aañsū ban kar
bah chalā ḳhuun to anjām-e-jigar kyā hogā
aaj insān kī parvāz hai bālā-e-falak
kal ḳhudā jaane ki anjām-e-bashar kyā hogā
dafn qārūñ kā ḳhazāna hai tah-e-ḳhāk ab tak
zindagī meñ jo na kaam aa.e vo zar kyā hogā
'ātish'-e-ishq na siine meñ agar tez huī
sard aahoñ kā bhalā 'zabt' asar kyā hogā
fikr kya is ki ye dil aur jigar kya hoga
tere saudai ko andesha-e-sar kya hoga
dasht-paimai se diwane ko hasil kya hai
koi manzil nahin jis ki wo safar kya hoga
lutf jab hai ki Tapakte rahen tham kar aansu
sail-e-ashk aaya to ai dida-e-tar kya hoga
dil mein ho yaad-e-KHuda aur sanam pesh-e-nazar
aise unwan ke liye zauq-e-nazar kya hoga
hai maza jab ki Tapakta rahe aansu ban kar
bah chala KHun to anjam-e-jigar kya hoga
aaj insan ki parwaz hai baala-e-falak
kal KHuda jaane ki anjam-e-bashar kya hoga
dafn qarun ka KHazana hai tah-e-KHak ab tak
zindagi mein jo na kaam aae wo zar kya hoga
'atish'-e-ishq na sine mein agar tez hui
sard aahon ka bhala 'zabt' asar kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.