fikr kyun hai qayam karne ki
fikr kyun hai qayam karne ki
Syed Mohammad Zafar, Ashk Sanbhali
MORE BYSyed Mohammad Zafar, Ashk Sanbhali
fikr kyuuñ hai qayām karne kī
koī manzil nahīñ Thaharne kī
daam tak le ga.ī mujhe parvāz
dushmanī mere bāl-o-par ne kī
us sitamgar ke jaur-e-paiham se
kis ko fursat hai aah bharne kī
jaane kyuuñ hādse nahīñ hote
jab se Thānī hai dil meñ marne kī
vo bhī ab ro rahe haiñ soch ke kuchh
thī ḳhushī jin ko mere marne kī
husn kī har adā kī zad pe rahe
kitnī jur.at dil-o-jigar ne kī
dekh kar mujh ko ruḳh badal jaatā
ek sūrat hai pyaar karne kī
kis tavaqqo pe 'ashk' ham jiite
gar na hotī umiid marne kī
fikr kyun hai qayam karne ki
koi manzil nahin Thaharne ki
dam tak le gai mujhe parwaz
dushmani mere baal-o-par ne ki
us sitamgar ke jaur-e-paiham se
kis ko fursat hai aah bharne ki
jaane kyun hadse nahin hote
jab se Thani hai dil mein marne ki
wo bhi ab ro rahe hain soch ke kuchh
thi KHushi jin ko mere marne ki
husn ki har ada ki zad pe rahe
kitni jurat dil-o-jigar ne ki
dekh kar mujh ko ruKH badal jata
ek surat hai pyar karne ki
kis tawaqqo pe 'ashk' hum jite
gar na hoti umid marne ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.