fikr mein Dube the sab aur ba-hunar koi na tha
fikr meñ Duube the sab aur bā-hunar koī na thā
zindagī kī shāḳh par puḳhta samar koī na thā
gā rahe the apnī apnī dhun meñ sab ġhazleñ magar
'mīr'-o-'ġhālib' 'dāġh'-o-'hasrat' yā 'jigar' koī na thā
rāt-bhar zulmat meñ lipTī bastiyāñ kahtī rahīñ
chāñd taare kahkashāñ jugnū qamar koī na thā
dekhne meñ yuuñ ba-zāhir sab hamāre saath the
jab saroñ par dhuup aa.ī ham-safar koī na thā
ḳhuun ke rishtoñ kī garmī sard thī chāroñ taraf
sab tasallī de rahe the chāragar koī na thā
rind-o-zāhid shaiḳh-o-sūfī sab ke sab tishna hī the
kis ko dete mai-kada jab mo'atabar koī na thā
phir ye sochā likh hī bhejūñ hāl-e-dil us ko magar
uḌ chuke the sab kabūtar nāma-bar koī na thā
zindagī-bhar bhīgtī palkeñ thiiñ us kī muntazir
ham se baḌh kar ḳhud se 'zākir' be-ḳhabar koī na thā
fikr mein Dube the sab aur ba-hunar koi na tha
zindagi ki shaKH par puKHta samar koi na tha
ga rahe the apni apni dhun mein sab ghazlen magar
'mir'-o-'ghaalib' 'dagh'-o-'hasrat' ya 'jigar' koi na tha
raat-bhar zulmat mein lipTi bastiyan kahti rahin
chand tare kahkashan jugnu qamar koi na tha
dekhne mein yun ba-zahir sab hamare sath the
jab saron par dhup aai ham-safar koi na tha
KHun ke rishton ki garmi sard thi chaaron taraf
sab tasalli de rahe the chaaragar koi na tha
rind-o-zahid shaiKH-o-sufi sab ke sab tishna hi the
kis ko dete mai-kada jab mo'atabar koi na tha
phir ye socha likh hi bhejun haal-e-dil us ko magar
uD chuke the sab kabutar nama-bar koi na tha
zindagi-bhar bhigti palken thin us ki muntazir
hum se baDh kar KHud se 'zakir' be-KHabar koi na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.