fikr mujhe gulzaron ki hai maula KHair
fikr mujhe gulzāroñ kī hai maulā ḳhair
bārish to angāroñ kī hai maulā ḳhair
dushman to dukh dene meñ nākām hue
baarī ab ġham-ḳhvāroñ kī hai maulā ḳhair
ulajh rahe haiñ saare masīhā aapas meñ
fikr kise bīmāroñ kī hai maulā ḳhair
dīvāna gul-daste le kar phirtā hai
mashq jahāñ talvāroñ kī hai maulā ḳhair
logoñ ke kandhoñ par sar kyoñ qaa.em haiñ
fikr yahī sālāroñ kī hai maulā ḳhair
tel se 'farhat' aag bujhāne nikle haiñ
aql ajab sālāroñ kī hai maulā ḳhair
fikr mujhe gulzaron ki hai maula KHair
barish to angaron ki hai maula KHair
dushman to dukh dene mein nakaam hue
bari ab gham-KHwaron ki hai maula KHair
ulajh rahe hain sare masiha aapas mein
fikr kise bimaron ki hai maula KHair
diwana gul-daste le kar phirta hai
mashq jahan talwaron ki hai maula KHair
logon ke kandhon par sar kyon qaem hain
fikr yahi salaron ki hai maula KHair
tel se 'farhat' aag bujhane nikle hain
aql ajab salaron ki hai maula KHair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.