fikr-o-ehsās kā sarmāya dūkānoñ meñ na thā
apnā jo kuchh thā kitāboñ meñ thā galiyoñ meñ na thā
varna maiñ phail gayā hotā ḳhalāoñ kī tarah
haath sūraj kā mirī soch ke hāthoñ meñ na thā
aur bhī gaañv the pyāse yūñhī rasta rasta
ik mirā gaañv hī bādal kī nigāhoñ meñ na thā
kitnī sochoñ kā lahū chaaT ga.e kyā ma.alūm
pahle ye rang un aurāq ke chehroñ meñ na thā
raat āñkhoñ ke jharokoñ se ajab shor uThā
jaane kyā baat thī koī bhī to sapnoñ meñ na thā
varna maiñ aur mirā naam ufuq-tā-ba-ufuq
mujh se shāyad koī ākāsh kī bāñhoñ meñ na thā
yuuñ to sab chehre mire apne hī chehre the magar
mujh sā tanhā koī is shahr ke logoñ meñ na thā
fikr-o-ehsas ka sarmaya dukanon mein na tha
apna jo kuchh tha kitabon mein tha galiyon mein na tha
warna main phail gaya hota KHalaon ki tarah
hath suraj ka meri soch ke hathon mein na tha
aur bhi ganw the pyase yunhi rasta rasta
ek mera ganw hi baadal ki nigahon mein na tha
kitni sochon ka lahu chaT gae kya malum
pahle ye rang un auraq ke chehron mein na tha
raat aankhon ke jharokon se ajab shor uTha
jaane kya baat thi koi bhi to sapnon mein na tha
warna main aur mera nam ufuq-ta-ba-ufuq
mujh se shayad koi aakash ki banhon mein na tha
yun to sab chehre mere apne hi chehre the magar
mujh sa tanha koi is shahr ke logon mein na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.