fikr-o-nazar ke baab jahāñ mustarad hue
jahl-o-junūñ ke ḳhvāb jahāñ mustanad hue
ik sail-e-be-amāñ hai mire ġham kā kārvāñ
kyā kyā hasīn log sipurd-e-lahad hue
dīvāngī kabhī mirā maslak nahīñ rahī
gum aa ke terī bazm meñ hosh-o-ḳhirad hue
aañsū kā mere rang tab-o-tāb vo kahāñ
dāman meñ yuuñ to aap ke gulhā-e-sad hue
duniyā samajh rahī thī ki bad-kār haiñ magar
badnām pahle ham hue phir jā ke bad hue
maiñ bahr-e-be-karāñ sī mohabbat kā huuñ amiin
aañsū tumhārī chaah meñ merī sanad hue
ġhairoñ ko thaam kar na hameñ be-maqām kar
ham har ḳhushī se tere liye nā-balad hue
ilhām nazm karte rahe haiñ 'naved' ham
shā.ir the ahl-e-zar to na the mustarad hue
fikr-o-nazar ke bab jahan mustarad hue
jahl-o-junun ke KHwab jahan mustanad hue
ek sail-e-be-aman hai mere gham ka karwan
kya kya hasin log sipurd-e-lahad hue
diwangi kabhi mera maslak nahin rahi
gum aa ke teri bazm mein hosh-o-KHirad hue
aansu ka mere rang tab-o-tab wo kahan
daman mein yun to aap ke gulha-e-sad hue
duniya samajh rahi thi ki bad-kar hain magar
badnam pahle hum hue phir ja ke bad hue
main bahr-e-be-karan si mohabbat ka hun amin
aansu tumhaari chah mein meri sanad hue
ghairon ko tham kar na hamein be-maqam kar
hum har KHushi se tere liye na-balad hue
ilham nazm karte rahe hain 'nawed' hum
shair the ahl-e-zar to na the mustarad hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.