fikr-o-nazar ki jang hai KHud sar ke samne
fikr-o-nazar kī jang hai ḳhud sar ke sāmne
ik sabz inqalāb hai patthar ke sāmne
dariyā ubal paḌā hai samundar ke sāmne
shīsha-garoñ kī bhiiḌ hai zar-gar ke sāmne
jhūTā sā ek va.ada-e-fardā bhī hai bahut
taskīn ke liye dil-e-muztar ke sāmne
koī dalīl koī na hujjat na hai javāz
us bad-qimāsh ḳhū-e-sitamgar ke sāmne
mausam kī dil-farebī ye kahtī hai baar baar
kam-tar hai un kā husn bhī manzar ke sāmne
duniyā kyoñ apne sar ko jhukātī hai āj-kal
kam-māya bad-ḳhisāl tavangar ke sāmne
'bismil' na chheḌ ahl-e-duval kī bhī koī baat
mujh jaise ik faqīr qalandar ke sāmne
fikr-o-nazar ki jang hai KHud sar ke samne
ek sabz inqalab hai patthar ke samne
dariya ubal paDa hai samundar ke samne
shisha-garon ki bhiD hai zar-gar ke samne
jhuTa sa ek wada-e-farda bhi hai bahut
taskin ke liye dil-e-muztar ke samne
koi dalil koi na hujjat na hai jawaz
us bad-qimash KHu-e-sitamgar ke samne
mausam ki dil-farebi ye kahti hai bar bar
kam-tar hai un ka husn bhi manzar ke samne
duniya kyon apne sar ko jhukati hai aaj-kal
kam-maya bad-KHisal tawangar ke samne
'bismil' na chheD ahl-e-duwal ki bhi koi baat
mujh jaise ek faqir qalandar ke samne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.