fikr rakhte hain kahan zehn agar rakhte hain
fikr rakhte haiñ kahāñ zehn agar rakhte haiñ
dasht-e-be-āb meñ jo tuḳhm-e-hunar rakhte haiñ
har na.ī baat bhulā detī hai pahle kā ḳhayāl
vo to aḳhbār haiñ bas taaza ḳhabar rakhte haiñ
miT gayā rang-e-ta.alluq to ye chehre ke nuqūsh
ek ik ḳhatt-e-ta.assur meñ ḳhabar rakhte haiñ
aise logoñ kā milā ham ko zamāna jo log
kor-bīnā haiñ magar ham pe nazar rakhte haiñ
koī aahaT hai na dastak ki bichhaḌ jaa.e sukūt
jin ko dīvār mayassar ho vo dar rakhte haiñ
jab bhī aatī hai kisī samt se maqtal kī havā
dhyān aatā hai abhī dosh pe sar rakhte haiñ
fikr rakhte hain kahan zehn agar rakhte hain
dasht-e-be-ab mein jo tuKHm-e-hunar rakhte hain
har nai baat bhula deti hai pahle ka KHayal
wo to aKHbar hain bas taza KHabar rakhte hain
miT gaya rang-e-talluq to ye chehre ke nuqush
ek ek KHatt-e-tassur mein KHabar rakhte hain
aise logon ka mila hum ko zamana jo log
kor-bina hain magar hum pe nazar rakhte hain
koi aahaT hai na dastak ki bichhaD jae sukut
jin ko diwar mayassar ho wo dar rakhte hain
jab bhi aati hai kisi samt se maqtal ki hawa
dhyan aata hai abhi dosh pe sar rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.