firaq-e-dost ke qabil nahin hai
firāq-e-dost ke qābil nahīñ hai
vo dil jo ḳhūgar-e-mushkil nahīñ hai
koī ye nā-ḳhudāoñ ko batā de
mohabbat mauj hai sāhil nahīñ hai
garebāñ chaak hai apnā na dāman
abhī shāyad junūñ kāmil nahīñ hai
hai manzil aur bhī manzil se aage
ye manzil āḳhirī manzil nahīñ hai
bhalā vo zindagī kyā hai ki jis meñ
tirā lutf-o-karam shāmil nahīñ hai
ḳhirad uljhī huī hai pech-o-ḳham meñ
junūñ shā.ista-e-mahfil nahīñ hai
mujhe Dar ham-navāoñ se hai 'fārūq'
mujhe andesha-e-bātil nahīñ hai
firaq-e-dost ke qabil nahin hai
wo dil jo KHugar-e-mushkil nahin hai
koi ye na-KHudaon ko bata de
mohabbat mauj hai sahil nahin hai
gareban chaak hai apna na daman
abhi shayad junun kaamil nahin hai
hai manzil aur bhi manzil se aage
ye manzil aaKHiri manzil nahin hai
bhala wo zindagi kya hai ki jis mein
tera lutf-o-karam shamil nahin hai
KHirad uljhi hui hai pech-o-KHam mein
junun shaista-e-mahfil nahin hai
mujhe Dar ham-nawaon se hai 'faruq'
mujhe andesha-e-baatil nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.