firaq-e-yar mein aisi bhi ek shab aai
firāq-e-yār meñ aisī bhī ek shab aa.ī
charāġh jal gayā āñkhoñ meñ niiñd jab aa.ī
umīd-o-bīm ke aalam meñ thī nigāh-e-shauq
kisī kī yaad mire dil meñ nīm-shab aa.ī
sahar ke baad bhī thā terā intizār mujhe
nigāh dar se har ik baar tishna-lab aa.ī
na shaġhl-e-bāda-kashī hai na shauq-e-rāmish-o-rañg
ye kis maqām par ab mahfil-e-tarab aa.ī
ḳhum-o-subū bhī haiñ labrez ab sharāboñ se
ye dekhnā hai ki rindoñ ko niiñd kab aa.ī
maiñ tere shahr meñ tujh se bhī sar-kashīda huuñ
tū mujh se milne sar-e-rāh be-sabab aa.ī
sitāre Duub ga.e aur shab tamām huī
charāġh bujh gayā āñkhoñ meñ niiñd tab aa.ī
na dil meñ mauj-e-tamannā na lab pe harf-e-vafā
ye kis ravish pe 'sabā' zindagī hai ab aa.ī
firaq-e-yar mein aisi bhi ek shab aai
charagh jal gaya aankhon mein nind jab aai
umid-o-bim ke aalam mein thi nigah-e-shauq
kisi ki yaad mere dil mein nim-shab aai
sahar ke baad bhi tha tera intizar mujhe
nigah dar se har ek bar tishna-lab aai
na shaghl-e-baada-kashi hai na shauq-e-ramish-o-rang
ye kis maqam par ab mahfil-e-tarab aai
KHum-o-subu bhi hain labrez ab sharabon se
ye dekhna hai ki rindon ko nind kab aai
main tere shahr mein tujh se bhi sar-kashida hun
tu mujh se milne sar-e-rah be-sabab aai
sitare Dub gae aur shab tamam hui
charagh bujh gaya aankhon mein nind tab aai
na dil mein mauj-e-tamanna na lab pe harf-e-wafa
ye kis rawish pe 'saba' zindagi hai ab aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.