firaq-e-yar mein hun is qadar udas-udas
firaq-e-yar mein hun is qadar udas-udas
Dipak Prajapati Khaalis
MORE BYDipak Prajapati Khaalis
firāq-e-yār meñ huuñ is qadar udās-udās
baġhair bachchoñ ke jaise ho ghar udās-udās
shikārī aa.e haiñ ya.anī parind jā.eñge
ye baat sun ke huā hai shajar udās-udās
na jaane kyā mire zaḳhmoñ meñ dekh baiThā hai
ki ho gayā hai mirā chārāgar udās-udās
ye vo galī hai jahāñ shādmānī rahtī hai
so mere dost yahāñ se guzar udās-udās
kabhī-kabhār to ḳhud zār-zār rotī haiñ
udāsiyāñ bhī mujhe dekh kar udās-udās
ye kyā huā ki Dubo kar mujhe baḌe din se
dukhī-dukhī sī nadī hai bhañvar udās-udās
phir aise meñ mujhe aisī ḳhushī se ghin aa.ī
vo mere paas to aaya magar udās-udās
firaq-e-yar mein hun is qadar udas-udas
baghair bachchon ke jaise ho ghar udas-udas
shikari aae hain yani parind jaenge
ye baat sun ke hua hai shajar udas-udas
na jaane kya mere zaKHmon mein dekh baiTha hai
ki ho gaya hai mera chaaragar udas-udas
ye wo gali hai jahan shadmani rahti hai
so mere dost yahan se guzar udas-udas
kabhi-kabhaar to KHud zar-zar roti hain
udasiyan bhi mujhe dekh kar udas-udas
ye kya hua ki Dubo kar mujhe baDe din se
dukhi-dukhi si nadi hai bhanwar udas-udas
phir aise mein mujhe aisi KHushi se ghin aai
wo mere pas to aaya magar udas-udas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.