firaq mein jo tere lutf-e-intizar na ho
firāq meñ jo tire lutf-e-intizār na ho
to dil kā ḳhuun bhī dāman pe lāla-kār na ho
junūn-e-shauq ye kahtā hai us jagah chaliye
jahāñ ye mas.ala-e-jabr-o-iḳhtiyār na ho
adam ke parde bhī karnā haiñ chāk-chāk mujhe
ye sochtā huuñ unheñ merā intizār na ho
kareñ na aarzū us kī to kyā kareñ 'sāqib'
hujūm-e-shauq meñ jab dil pe iḳhtiyār na ho
firaq mein jo tere lutf-e-intizar na ho
to dil ka KHun bhi daman pe lala-kar na ho
junun-e-shauq ye kahta hai us jagah chaliye
jahan ye masala-e-jabr-o-iKHtiyar na ho
adam ke parde bhi karna hain chaak-chaak mujhe
ye sochta hun unhen mera intizar na ho
karen na aarzu us ki to kya karen 'saqib'
hujum-e-shauq mein jab dil pe iKHtiyar na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.