firaun koi koi namrud ho gaya hai
fir.aun koī koī namrūd ho gayā hai
afsos tuḳhm-e-insāñ nābūd ho gayā hai
zar jab se mere ghar meñ maujūd ho gayā hai
har ġhair merā tab se maudūd ho gayā hai
hotā thā pahle insāñ meñ ek insāñ maḳhfī
insān jo magar ab mardūd ho gayā hai
sadiyoñ se un laboñ ko jumbish nahīñ dī jis ne
us se samāj saarā ḳhush-nūd ho gayā hai
nafrat kā vo pujārī hai buġhz us kā sheva
so pyaar us ke aage be-sūd ho gayā hai
us ke sabhī masā.il mādūm karte karte
merā sukūn saarā mafqūd ho gayā hai
jab se gayā tū 'nāqir' ko chhoḌ kar yahāñ se
sāmān yaañ kā tab se ālūd ho gayā hai
firaun koi koi namrud ho gaya hai
afsos tuKHm-e-insan nabud ho gaya hai
zar jab se mere ghar mein maujud ho gaya hai
har ghair mera tab se maudud ho gaya hai
hota tha pahle insan mein ek insan maKHfi
insan jo magar ab mardud ho gaya hai
sadiyon se un labon ko jumbish nahin di jis ne
us se samaj sara KHush-nud ho gaya hai
nafrat ka wo pujari hai bughz us ka shewa
so pyar us ke aage be-sud ho gaya hai
us ke sabhi masail madum karte karte
mera sukun sara mafqud ho gaya hai
jab se gaya tu 'naqir' ko chhoD kar yahan se
saman yan ka tab se aalud ho gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.