fishaar-e-tashwish se ibarat hai kawish-e-zindagi hamari
fishār-e-tashvīsh se ibārat hai kāvish-e-zindagī hamārī
ho kaise taz.īn fikr-e-nau kī ho kaise jazboñ kī ābiyārī
ye zaḳhm kyūñkar bhareñge āḳhir ye daaġh kab tak jaleñge āḳhir
kaTegī kaise girānī-e-shab rahegā kab tak ye dard jaarī
miTā.eñ kaise ye dāġh-e-hasrat sameTeñ kaise gul-e-jarāhat
haTā.eñ kaise ye bhārī patthar yahī hai ab zindagī hamārī
ye kyā jagah hai ye kyā nagar hai ki jis kī har raah pur-ḳhatar hai
ki jis kī nas nas meñ shor-o-shar hai ki jis kī manzil azāb-o-ḳhvārī
havā meñ aahaT hai siskiyoñ kī fazā meñ bū ḳhuun kī basī hai
udaas nazroñ meñ bahte sapne diloñ meñ dahshat kā ḳhauf taarī
laboñ pe mohr-e-sukūt hai aur sulagtī āñkhoñ meñ ḳhūnī manzar
lahū meñ ġhaltāñ haiñ ḳhvāb saare lagī hai sapne pe zarb-e-kārī
fishaar-e-tashwish se ibarat hai kawish-e-zindagi hamari
ho kaise tazin fikr-e-nau ki ho kaise jazbon ki aabiyari
ye zaKHm kyunkar bharenge aaKHir ye dagh kab tak jalenge aaKHir
kaTegi kaise girani-e-shab rahega kab tak ye dard jari
miTaen kaise ye dagh-e-hasrat sameTen kaise gul-e-jarahat
haTaen kaise ye bhaari patthar yahi hai ab zindagi hamari
ye kya jagah hai ye kya nagar hai ki jis ki har rah pur-KHatar hai
ki jis ki nas nas mein shor-o-shar hai ki jis ki manzil azab-o-KHwari
hawa mein aahaT hai siskiyon ki faza mein bu KHun ki basi hai
udas nazron mein bahte sapne dilon mein dahshat ka KHauf tari
labon pe mohr-e-sukut hai aur sulagti aankhon mein KHuni manzar
lahu mein ghaltan hain KHwab sare lagi hai sapne pe zarb-e-kari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.