fitna-parwar hai fitna-za hai jhuT
fitna-parvar hai fitna-zā hai jhuuT
har burā.ī kī ibtidā hai jhuuT
jhuuT maano na tum kahā merā
muñh pe jhūTe ke kheltā hai jhuuT
naam rakkhā hai us kā policy
kaisā maqbūl ho gayā hai jhuuT
jo qasam baat baat par khaa.e
jaan lo tum ye bak rahā hai jhuuT
pā nahīñ saktā hai daroġh faroġh
kyā buzurgoñ ne ye kahā hai jhuuT
sāñch ko aañch tak na pahuñchegī
laakh duniyā meñ chal rahā hai jhuuT
bach ke jhūTe se chāhiye rahnā
parda-e-makr aur daġhā hai jhuuT
jhuuT ko jhuuT gar kahā ham ne
tum hī kah do ki is meñ kyā hai jhuuT
kaañp uThtā hai ai atā īmān
jab koī shaḳhs boltā hai jhuuT
fitna-parwar hai fitna-za hai jhuT
har burai ki ibtida hai jhuT
jhuT mano na tum kaha mera
munh pe jhuTe ke khelta hai jhuT
nam rakkha hai us ka policy
kaisa maqbul ho gaya hai jhuT
jo qasam baat baat par khae
jaan lo tum ye bak raha hai jhuT
pa nahin sakta hai darogh farogh
kya buzurgon ne ye kaha hai jhuT
sanch ko aanch tak na pahunchegi
lakh duniya mein chal raha hai jhuT
bach ke jhuTe se chahiye rahna
parda-e-makr aur dagha hai jhuT
jhuT ko jhuT gar kaha hum ne
tum hi kah do ki is mein kya hai jhuT
kanp uThta hai ai ata iman
jab koi shaKHs bolta hai jhuT
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.