fitrat-e-ahbab se mahram rahe
fitrat-e-ahbāb se mahram rahe
ḳhush rahe hālāñki sarf-e-ġham rahe
jab tak is dār-e-fanā meñ ham rahe
mubtalā-e-gardish-e-paiham rahe
ham bane haiñ taḳhta-e-mashq-e-sitam
imtihāñ-gāh-e-vafā meñ ham rahe
fasl-e-gul meñ bhī rahā ḳhauf-e-ḳhizāñ
ham ba-har-hālat asīr-e-ġham rahe
gul meñ bhī aatī rahī bū-e-turāb
hāsil-e-daurāñ se ham mahram rahe
gardishoñ ne talḳh kar dī zindagī
maut se ham phir bhī nā-mahram rahe
un ke jaur-o-zulm se aa.ī na maut
haa.e ye altāf bhī to kam rahe
kaun sī 'bismil' meñ aisī baat thī
muddatoñ is maut pe mātam rahe
fitrat-e-ahbab se mahram rahe
KHush rahe haalanki sarf-e-gham rahe
jab tak is dar-e-fana mein hum rahe
mubtala-e-gardish-e-paiham rahe
hum bane hain taKHta-e-mashq-e-sitam
imtihan-gah-e-wafa mein hum rahe
fasl-e-gul mein bhi raha KHauf-e-KHizan
hum ba-har-haalat asir-e-gham rahe
gul mein bhi aati rahi bu-e-turab
hasil-e-dauran se hum mahram rahe
gardishon ne talKH kar di zindagi
maut se hum phir bhi na-mahram rahe
un ke jaur-o-zulm se aai na maut
hae ye altaf bhi to kam rahe
kaun si 'bismil' mein aisi baat thi
muddaton is maut pe matam rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.