fitrat-e-husn hai sargarm-e-jafa ho jaana
fitrat-e-husn hai sargarm-e-jafā ho jaanā
sheva-e-ishq hai rāzī-ba-razā ho jaanā
vo lab-e-bām tirā jalva-numā ho jaanā
vo kisī kā tirī sūrat pe fidā ho jaanā
uTh ke pahlū se mire haa.e vo jaanā un kā
dard kā aur mire dil meñ sivā ho jaanā
is ko kahte haiñ mohabbat kī karishma-sāzī
lab par aate hī shikāyat kā duā ho jaanā
aa.ina dekhne ko shauq se dekho lekin
apnī sūrat pe kahīñ ḳhud na fidā ho jaanā
is se baḌh kar koī duniyā meñ alam kyā hogā
kisī māshūq se āshiq kā judā ho jaanā
pahle āgāh kiye dete haiñ tujh ko qāsid
dekhnā tū bhī na us but pe fidā ho jaanā
is chalan par hī mohabbat kā hai da.avā tum ko
bātoñ bātoñ meñ mirī jaan ḳhafā ho jaanā
ham bhī dekheñ to asar un pe na hogā kyūñ-kar
shart hai nāla-e-furqat kā rasā ho jaanā
dil kisī ke ḳham-e-gesū meñ phañsā baiThā huuñ
is ko kahte haiñ giraftār-e-balā ho jaanā
chain se the na mulāqāt huī thī jab tak
ho gayā qahr tirā mil ke judā ho jaanā
vasl kā aap ne iqrār kiyā hai lekin
nazar aatā nahīñ va.ade kā vafā ho jaanā
kis ko ye hosh ki ahvāl sunā.e apnā
dekhte hī tujhe ausān ḳhatā ho jaanā
aise marne ko hī kahte haiñ hayāt-e-jāved
ḳhush-nasībī hai mohabbat meñ fanā ho jaanā
yaad ab tak hai javānī kā zamāna 'hājir'
pyaar karnā mirā aur un kā ḳhafā ho jaanā
fitrat-e-husn hai sargarm-e-jafa ho jaana
shewa-e-ishq hai raazi-ba-raza ho jaana
wo lab-e-baam tera jalwa-numa ho jaana
wo kisi ka teri surat pe fida ho jaana
uTh ke pahlu se mere hae wo jaana un ka
dard ka aur mere dil mein siwa ho jaana
is ko kahte hain mohabbat ki karishma-sazi
lab par aate hi shikayat ka dua ho jaana
aaina dekhne ko shauq se dekho lekin
apni surat pe kahin KHud na fida ho jaana
is se baDh kar koi duniya mein alam kya hoga
kisi mashuq se aashiq ka juda ho jaana
pahle aagah kiye dete hain tujh ko qasid
dekhna tu bhi na us but pe fida ho jaana
is chalan par hi mohabbat ka hai dawa tum ko
baaton baaton mein meri jaan KHafa ho jaana
hum bhi dekhen to asar un pe na hoga kyun-kar
shart hai nala-e-furqat ka rasa ho jaana
dil kisi ke KHam-e-gesu mein phansa baiTha hun
is ko kahte hain giraftar-e-bala ho jaana
chain se the na mulaqat hui thi jab tak
ho gaya qahr tera mil ke juda ho jaana
wasl ka aap ne iqrar kiya hai lekin
nazar aata nahin wade ka wafa ho jaana
kis ko ye hosh ki ahwal sunae apna
dekhte hi tujhe ausan KHata ho jaana
aise marne ko hi kahte hain hayat-e-jawed
KHush-nasibi hai mohabbat mein fana ho jaana
yaad ab tak hai jawani ka zamana 'hajir'
pyar karna mera aur un ka KHafa ho jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.