fitrat-e-ishq kisi rang mein shamil na hui
fitrat-e-ishq kisī rang meñ shāmil na huī
ye sadā vo hai jo pāband-e-salāsil na huī
ham ne kyā kyā na kiyā dil kī tasallī ke liye
aur tasallī hai ki ḳhvāboñ meñ bhī hāsil na huī
koshisheñ laakh huiiñ dil kī fazā dil se mile
ye zamīñ aaj tak is rasm ke qābil na huī
hādse dil pe guzarne ko na kyā kyā guzre
tishnagī aaj tak āsūda-e-sāhil na huī
aap kī chashm-e-tavajjoh kā gilā kyā kiije
pur-taraddud hī rahī hal mirī mushkil na huī
nā-ḳhudā.ī kā bahut shor sunā thā lekin
zindagī merī abhī tak lab-e-sāhil na huī
'hāmid' is ahd se kyā kyā na tavaqqo thī magar
zindagī rasm-o-rah-e-zīst meñ dāḳhil na huī
fitrat-e-ishq kisi rang mein shamil na hui
ye sada wo hai jo paband-e-salasil na hui
hum ne kya kya na kiya dil ki tasalli ke liye
aur tasalli hai ki KHwabon mein bhi hasil na hui
koshishen lakh huin dil ki faza dil se mile
ye zamin aaj tak is rasm ke qabil na hui
hadse dil pe guzarne ko na kya kya guzre
tishnagi aaj tak aasuda-e-sahil na hui
aap ki chashm-e-tawajjoh ka gila kya kije
pur-taraddud hi rahi hal meri mushkil na hui
na-KHudai ka bahut shor suna tha lekin
zindagi meri abhi tak lab-e-sahil na hui
'hamid' is ahd se kya kya na tawaqqo thi magar
zindagi rasm-o-rah-e-zist mein daKHil na hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.