fitrat ke taqazon ko miTaya nahin jata
fitrat ke taqāzoñ ko miTāyā nahīñ jaatā
jo vaqt guzar jaa.e bhulāyā nahīñ jaatā
insān hai insān farishta to nahīñ hai
insān ko nazroñ se girāyā nahīñ jaatā
momin kabhī jhuktā nahīñ hālāt ke aage
hālāt se dāman bhī chhuḌāyā nahīñ jaatā
chehra bhī to ā.īna hai insān ke dil kā
chehre se koī raaz chhupāyā nahīñ jaatā
dil raushnī īmān kī pahuñchā.egā 'zaidī'
ab ham se diyā aur jalāyā nahīñ jaatā
fitrat ke taqazon ko miTaya nahin jata
jo waqt guzar jae bhulaya nahin jata
insan hai insan farishta to nahin hai
insan ko nazron se giraya nahin jata
momin kabhi jhukta nahin haalat ke aage
haalat se daman bhi chhuDaya nahin jata
chehra bhi to aaina hai insan ke dil ka
chehre se koi raaz chhupaya nahin jata
dil raushni iman ki pahunchaega 'zaidi'
ab hum se diya aur jalaya nahin jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.