fitrat ki band muTThiyon ko kholta raha
fitrat kī band muTThiyoñ ko kholtā rahā
maiñ ā.ina-mizāj thā aur boltā rahā
ik ḳhvāb saare shahr meñ le kar phirā mujhe
ik lau ke saath saath diyā Doltā rahā
yūñhī na thā simaTnā mirā phailnā mirā
apne kināroñ par maiñ badan toltā rahā
mujh peḌ kī jaḌoñ meñ utar kar shifā huā
nusḳha jo ḳhāk-e-pā meñ koī roltā rahā
dil kā koī makīn yūñhī uTh ke chal paḌā
bahtā huā ragoñ meñ koī khaultā rahā
'hāris' tamām shor-sharābe meñ terī misl
ik raag mere kaan meñ ras gholtā rahā
fitrat ki band muTThiyon ko kholta raha
main aaina-mizaj tha aur bolta raha
ek KHwab sare shahr mein le kar phira mujhe
ek lau ke sath sath diya Dolta raha
yunhi na tha simaTna mera phailna mera
apne kinaron par main badan tolta raha
mujh peD ki jaDon mein utar kar shifa hua
nusKHa jo KHak-e-pa mein koi rolta raha
dil ka koi makin yunhi uTh ke chal paDa
bahta hua ragon mein koi khaulta raha
'haaris' tamam shor-sharabe mein teri misl
ek rag mere kan mein ras gholta raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.