fitrat se uski aaj bhi wo kal nahin gaya
fitrat se us kī aaj bhī vo kal nahīñ gayā
rassī to jal ga.ī hai magar bal nahīñ gayā
aapas kī phuuT kar ga.ī bārish ko dāġh-dār
baisākh meñ bhī gaañv kā daldal nahīñ gayā
sūrat badal bhī jaa.e to sīrat na jaa.e hai
patthar nadī meñ gol huā gal nahīñ gayā
būḌhoñ ne gaañv is liye chhoḌā nahīñ kabhī
chaupāl chhoḌ kar kahīñ pīpal nahīñ gayā
fitrat se us ki aaj bhi wo kal nahin gaya
rassi to jal gai hai magar bal nahin gaya
aapas ki phuT kar gai barish ko dagh-dar
baisakh mein bhi ganw ka daldal nahin gaya
surat badal bhi jae to sirat na jae hai
patthar nadi mein gol hua gal nahin gaya
buDhon ne ganw is liye chhoDa nahin kabhi
chaupal chhoD kar kahin pipal nahin gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.