fitratan apne hi aalam se thi ghabrai hui
fitratan apne hi aalam se thi ghabrai hui
Rana Khalid Mahmood Qaiser
MORE BYRana Khalid Mahmood Qaiser
fitratan apne hī 'ālam se thī ghabrā.ī huī
vo nazar mere tasavvur meñ thī sharmā.ī huī
ek 'ālam thā nigāh-e-shauq ke e'jāz kā
ab adā-e-husn-e-jalva aap kī chhā.ī huī
dekhne vāloñ ne dekhā hai taḌaptā rāt-din
ye musībat mere sar par aap kī laa.ī huī
kar ga.ī mahfil mo'attar zulf lahrāte hue
phuul kī ḳhushbū thī yā thī zulf mahkā.ī huī
is qadar shohrat milī sab kā fasāna ho ga.ī
dāstāñ merī zabān-e-shauq par aa.ī huī
ārzūoñ kā lahū āñkhoñ se zāhir ho gayā
har kalī thī gulshan-e-hastī meñ kum.hlā.ī huī
aap kī bātoñ pe vo bhī ġhaur farmāne lage
aap kī bātoñ meñ 'qaisar' kitnī gahrā.ī huī
fitratan apne hi 'alam se thi ghabrai hui
wo nazar mere tasawwur mein thi sharmai hui
ek 'alam tha nigah-e-shauq ke e'jaz ka
ab ada-e-husn-e-jalwa aap ki chhai hui
dekhne walon ne dekha hai taDapta raat-din
ye musibat mere sar par aap ki lai hui
kar gai mahfil mo'attar zulf lahraate hue
phul ki KHushbu thi ya thi zulf mahkai hui
is qadar shohrat mili sab ka fasana ho gai
dastan meri zaban-e-shauq par aai hui
aarzuon ka lahu aankhon se zahir ho gaya
har kali thi gulshan-e-hasti mein kumhlai hui
aap ki baaton pe wo bhi ghaur farmane lage
aap ki baaton mein 'qaisar' kitni gahrai hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.