fitratan lazim hai hum par pahle pani DhunDhna
fitratan lāzim hai ham par pahle paanī DhūñDhnā
pyaas bujh jaa.e to phir tishna-dahānī DhūñDhnā
ek-tarfa 'ishq kyā hai kyā hai zauq-e-shā’irī
dūsre ke lafzoñ meñ apne ma'ānī DhūñDhnā
koshisheñ karte raho lekin ye mumkin to nahīñ
saath chalnā sab ke aur apnī ravānī DhūñDhnā
chain se rahtā huuñ to bechain ho uThtā hai dil
kis ne sikhlāyā hai dil ko saḳht-jānī DhūñDhnā
rāt-din bas dekhte rahnā kisī tasvīr ko
rāt-din ḳhāmoshiyoñ kī tarjumānī DhūñDhnā
ḳhud-ġharaz kaise nahīñ huuñ aap hī farmā.iye
sab kā qissa sunñā aur apnī kahānī DhūñDhnā
ye junūñ hai yā himāqat kaun batlā.e 'amit'
qaid ho jaanā makāñ meñ lā-makānī DhūñDhnā
fitratan lazim hai hum par pahle pani DhunDhna
pyas bujh jae to phir tishna-dahani DhunDhna
ek-tarfa 'ishq kya hai kya hai zauq-e-sha’iri
dusre ke lafzon mein apne ma'ani DhunDhna
koshishen karte raho lekin ye mumkin to nahin
sath chalna sab ke aur apni rawani DhunDhna
chain se rahta hun to bechain ho uThta hai dil
kis ne sikhlaya hai dil ko saKHt-jaani DhunDhna
raat-din bas dekhte rahna kisi taswir ko
raat-din KHamoshiyon ki tarjumani DhunDhna
KHud-gharaz kaise nahin hun aap hi farmaiye
sab ka qissa sunna aur apni kahani DhunDhna
ye junun hai ya himaqat kaun batlae 'amit'
qaid ho jaana makan mein la-makani DhunDhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.