fitratan rabt hai dil ko gham-o-alam ke sath
fitratan rabt hai dil ko ġham-o-ālām ke saath
khelte rahte haiñ ham gardish-e-ayyām ke saath
roz sayyād kā ḳhatra hai na.e daam ke saath
kyā nasheman meñ rahegā koī ārām ke saath
ham agar ḳhāk-basar haiñ to koī baat nahīñ
raqs kartī rahe duniyā sahar-o-shām ke saath
ai parastār na.ī sub.h ke itnā to batā
kyoñ siyah-posh ujāle haiñ dar-o-bām ke saath
ārzūoñ kī javāñ maut kā mātam hai fuzūl
ye janāze kabhī uThte nahīñ kohrām ke saath
thā ajab hosh-rubā kaif-e-mai-e-āzādī
zahr bhī pī ga.e ham bāda-e-gulfām ke saath
dostī ham nahīñ rakhte ye bajā hai lekin
dushmanī bhī to nahīñ banda-e-asnām ke saath
ye milā apnī vafāoñ kā hameñ talḳh javāb
ki sitam aur bhī Dhaa.e ga.e ilzām ke saath
kuchh bhī kahte raheñ ahl-e-haram-o-dair mujhe
aap kā naam to shāmil hai mire naam ke saath
fitratan rabt hai dil ko gham-o-alam ke sath
khelte rahte hain hum gardish-e-ayyam ke sath
roz sayyaad ka KHatra hai nae dam ke sath
kya nasheman mein rahega koi aaram ke sath
hum agar KHak-basar hain to koi baat nahin
raqs karti rahe duniya sahar-o-sham ke sath
ai parastar nai subh ke itna to bata
kyon siyah-posh ujale hain dar-o-baam ke sath
aarzuon ki jawan maut ka matam hai fuzul
ye janaze kabhi uThte nahin kohram ke sath
tha ajab hosh-ruba kaif-e-mai-e-azadi
zahr bhi pi gae hum baada-e-gulfam ke sath
dosti hum nahin rakhte ye baja hai lekin
dushmani bhi to nahin banda-e-asnam ke sath
ye mila apni wafaon ka hamein talKH jawab
ki sitam aur bhi Dhae gae ilzam ke sath
kuchh bhi kahte rahen ahl-e-haram-o-dair mujhe
aap ka nam to shamil hai mere nam ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.