fughan ki tarah hai azan ki tarah hai
fuġhāñ kī tarah hai azaañ kī tarah hai
har insān shāh-e-jahāñ kī tarah hai
yaqīñ muddatoñ se gumāñ kī tarah hai
ki har mausam-e-gul ḳhizāñ kī tarah hai
kisī ġham se kamtar nahīñ koī bhī ġham
ki har ġham ġham-e-nā-gahāñ kī tarah hai
ye kis kī sadā hai jo maiñ sun rahā huuñ
shikast-e-dil-e-dostāñ kī tarah hai
jahāñ aarzū ban ke barsoñ rahe the
vo dil aaj ḳhālī makāñ kī tarah hai
tire saath guzrā huā ek lamha
kisī lamha-e-jāvedāñ kī tarah hai
jise dekhtā huuñ maiñ apne vatan meñ
pareshān urdu zabāñ kī tarah hai
fughan ki tarah hai azan ki tarah hai
har insan shah-e-jahan ki tarah hai
yaqin muddaton se guman ki tarah hai
ki har mausam-e-gul KHizan ki tarah hai
kisi gham se kamtar nahin koi bhi gham
ki har gham gham-e-na-gahan ki tarah hai
ye kis ki sada hai jo main sun raha hun
shikast-e-dil-e-dostan ki tarah hai
jahan aarzu ban ke barson rahe the
wo dil aaj KHali makan ki tarah hai
tere sath guzra hua ek lamha
kisi lamha-e-jawedan ki tarah hai
jise dekhta hun main apne watan mein
pareshan urdu zaban ki tarah hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.