fughan se zabt-e-junun ka nizam TuT gaya
fughan se zabt-e-junun ka nizam TuT gaya
Masood Maikash Muradabadi
MORE BYMasood Maikash Muradabadi
fuġhāñ se zabt-e-junūñ kā nizām TuuT gayā
ki mere haath se merā hī jaam TuuT gayā
vahī haiñ tauq-o-salāsil vahī nizām-e-chaman
vo kaun haiñ jo ye kahte haiñ daam TuuT gayā
zarūr pīr-e-muġhāñ kā bhī kuchh ishāra thā
ġhalat kahā ki muqaddar se jaam TuuT gayā
bikhar ga.e mirī ḳhātir hayāt ke gesū
kabhī jo shab ke sitāroñ kā daam TuuT gayā
kiyā thā jis ne haqā.eq se ham ko begāna
vo ek nashsha-e-kaif-e-davām TuuT gayā
tumhāre qurb kī saa.at meñ yuuñ huā mahsūs
ki jaise silsila-e-sub.h-o-shām TuuT gayā
usūl-e-rāh-numā se jahāñ meñ ai 'maikash'
hazār daam bane ek daam TuuT gayā
fughan se zabt-e-junun ka nizam TuT gaya
ki mere hath se mera hi jam TuT gaya
wahi hain tauq-o-salasil wahi nizam-e-chaman
wo kaun hain jo ye kahte hain dam TuT gaya
zarur pir-e-mughan ka bhi kuchh ishaara tha
ghalat kaha ki muqaddar se jam TuT gaya
bikhar gae meri KHatir hayat ke gesu
kabhi jo shab ke sitaron ka dam TuT gaya
kiya tha jis ne haqaeq se hum ko begana
wo ek nashsha-e-kaif-e-dawam TuT gaya
tumhaare qurb ki saat mein yun hua mahsus
ki jaise silsila-e-subh-o-sham TuT gaya
usul-e-rah-numa se jahan mein ai 'maikash'
hazar dam bane ek dam TuT gaya
- Book : KHuli kitab (Pg. 57)
- Author : Masuud maikash muradabadi
- Publication : Adbi Miaar Publications (1981)
- Edition : 1981
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.