fulan se kaam chalta hai fulan se kaam chalta hai
fulāñ se kaam chaltā hai fulāñ se kaam chaltā hai
chalā.eñ vo jahāñ se bhī vahāñ se kaam chaltā hai
kabhī bhūle se kar lete haiñ un kā tazkira ham bhī
kabhī apnā bhī yād-e-raftagāñ se kaam chaltā hai
tumhārī shā.irī jaisī bhī hai jo kuchh bhī hai lekin
tumhārā sirf andāz-e-bayāñ se kaam chaltā hai
tilāvat aur tasbīhāt se āġhāz karte haiñ
hamārā sub.h kī pahlī azaañ se kaam chaltā hai
idhar apnī safoñ meñ bhī bahut se log haiñ us ke
vahāñ baiThe hue us kā yahāñ se kaam chaltā hai
ye itne hāshiya-bardār ham par kyoñ musallat haiñ
hamārā to faqat ik hukmarāñ se kaam chaltā hai
yaqīñ par ab hameñ koī bharosā hī nahīñ 'nāmī'
hamārā āj-kal vahm-o-gumāñ se kaam chaltā hai
fulan se kaam chalta hai fulan se kaam chalta hai
chalaen wo jahan se bhi wahan se kaam chalta hai
kabhi bhule se kar lete hain un ka tazkira hum bhi
kabhi apna bhi yaad-e-raftagan se kaam chalta hai
tumhaari shairi jaisi bhi hai jo kuchh bhi hai lekin
tumhaara sirf andaz-e-bayan se kaam chalta hai
tilawat aur tasbihat se aaghaz karte hain
hamara subh ki pahli azan se kaam chalta hai
idhar apni safon mein bhi bahut se log hain us ke
wahan baiThe hue us ka yahan se kaam chalta hai
ye itne hashiya-bardar hum par kyon musallat hain
hamara to faqat ek hukmaran se kaam chalta hai
yaqin par ab hamein koi bharosa hi nahin 'nami'
hamara aaj-kal wahm-o-guman se kaam chalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.