funun-e-waqt ki mujh par asas rakh dena
funūn-e-vaqt kī mujh par asaas rakh denā
bulandiyāñ mire paañv ke paas rakh denā
banānā pahle samundar sā zarf-dār mujhe
phir us ke hoñToñ pe sadiyoñ kī pyaas rakh denā
rahe na mas.ala koī hamārī āmad-o-raft
tum ik charāġh darīche ke paas rakh denā
khulī fazā ke parindoñ kī tarah aa milnā
uThā ke taaq meñ ḳhauf-o-hirās rakh denā
nikāl kar kahīñ bāhar na dafn karnā mujhe
darūn-e-dil hī kahīñ ās-pās rakh denā
mire liye to faqat nashsha-e-badan hai bahut
uThā ke ye mai-o-mīnā gilās rakh denā
funun-e-waqt ki mujh par asas rakh dena
bulandiyan mere panw ke pas rakh dena
banana pahle samundar sa zarf-dar mujhe
phir us ke honTon pe sadiyon ki pyas rakh dena
rahe na masala koi hamari aamad-o-raft
tum ek charagh dariche ke pas rakh dena
khuli faza ke parindon ki tarah aa milna
uTha ke taq mein KHauf-o-hiras rakh dena
nikal kar kahin bahar na dafn karna mujhe
darun-e-dil hi kahin aas-pas rakh dena
mere liye to faqat nashsha-e-badan hai bahut
uTha ke ye mai-o-mina gilas rakh dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.