furqat mein koi zist ka saman nahin hota
furqat meñ koī ziist kā sāmāñ nahīñ hotā
mar jaa.eñ to marnā koī āsāñ nahīñ hotā
chup huuñ ki taḌapne kā bhī maqdūr nahīñ hai
darmāñ ise samjhe ho ye darmāñ nahīñ hotā
ausān bhulā dete haiñ maujoñ ke thapeḌe
milnā dur-e-maqsūd kā āsān nahīñ hotā
tum haal to pūchho kabhī dīvāna-e-ġham kā
bekār koī chāk-garebāñ nahīñ hotā
us vaqt unheñ fikr huī chāragarī kī
jab maut se baḌh kar koī darmāñ nahīñ hotā
har Thes pe pahle se sivā aate haiñ aañsū
hāsil unheñ ab dost kā dāmāñ nahīñ hotā
kyā in dinoñ mātam hai kisī ahl-e-vafā kā
kyoñ aap kī mahfil meñ charāġhāñ nahīñ hotā
mujh ko to karīmī pe tirī naaz hai har dam
maiñ kab tirā minnat-kash-e-ehsāñ nahīñ hotā
jab un kā karam thā 'shifā' har ik kā karam thā
ab mujh pe koī mā.il-e-ehsāñ nahīñ hotā
furqat mein koi zist ka saman nahin hota
mar jaen to marna koi aasan nahin hota
chup hun ki taDapne ka bhi maqdur nahin hai
darman ise samjhe ho ye darman nahin hota
ausan bhula dete hain maujon ke thapeDe
milna dur-e-maqsud ka aasan nahin hota
tum haal to puchho kabhi diwana-e-gham ka
bekar koi chaak-gareban nahin hota
us waqt unhen fikr hui chaaragari ki
jab maut se baDh kar koi darman nahin hota
har Thes pe pahle se siwa aate hain aansu
hasil unhen ab dost ka daman nahin hota
kya in dinon matam hai kisi ahl-e-wafa ka
kyon aap ki mahfil mein charaghan nahin hota
mujh ko to karimi pe teri naz hai har dam
main kab tera minnat-kash-e-ehsan nahin hota
jab un ka karam tha 'shifa' har ek ka karam tha
ab mujh pe koi mail-e-ehsan nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.