furqat mein tujhko maine pukara kabhi kabhi
furqat mein tujhko maine pukara kabhi kabhi
Jiya Lal Datt Rafeeq
MORE BYJiya Lal Datt Rafeeq
furqat meñ tujh ko maiñ ne pukārā kabhī kabhī
miltā hai dard ko bhī sahārā kabhī kabhī
terā pata na koī bhī mujh ko batā sakā
har āstāñ pe tujh ko pukārā kabhī kabhī
rahbar ne pher lī haiñ nigāheñ to kyā huā
rahzan se bhī milā hai sahārā kabhī kabhī
umr-e-darāz mujh ko vo shāyad atā kare
paañv ko maiñ ne apne pasārā kabhī kabhī
sajde kiye haiñ dar pe tire maiñ ne baar baar
furqat kā vaqt aise guzārā kabhī kabhī
tere hī naaz maiñ ne uThā.e haiñ raat din
gesū-e-ambarīñ ko sañvārā kabhī kabhī
dil ko 'rafīq' Dūbte dekhā hai bārhā
yādoñ ne us ko phir bhī ubhārā kabhī kabhī
furqat mein tujh ko main ne pukara kabhi kabhi
milta hai dard ko bhi sahaara kabhi kabhi
tera pata na koi bhi mujh ko bata saka
har aastan pe tujh ko pukara kabhi kabhi
rahbar ne pher li hain nigahen to kya hua
rahzan se bhi mila hai sahaara kabhi kabhi
umr-e-daraaz mujh ko wo shayad ata kare
panw ko main ne apne pasara kabhi kabhi
sajde kiye hain dar pe tere main ne bar bar
furqat ka waqt aise guzara kabhi kabhi
tere hi naz main ne uThae hain raat din
gesu-e-ambarin ko sanwara kabhi kabhi
dil ko 'rafiq' Dubte dekha hai barha
yaadon ne us ko phir bhi ubhaara kabhi kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.