fursat agar ho paDhiye zara dastan-e-waqt
fursat agar ho paDhiye zara dastan-e-waqt
Sajid Akhtar Mehshar Ansari
MORE BYSajid Akhtar Mehshar Ansari
fursat agar ho paḌhiye zarā dāstān-e-vaqt
maġhrūr ho ke ḳhaak hue hukmrān-e-vaqt
sajdoñ meñ sar kaTā ke rahe ham hī sar-buland
ham kāmyāb ho ke bane kāmrān-e-vaqt
mumkin nahīñ thā dīn-e-mohammad ne kar diyā
har zarra regzār kā ik kahkashān-e-vaqt
jo ḳhvāhishāt-e-nafs ke muddat se hoñ ġhulām
kyā inqilāb lā.eñge vo nau-javān-e-vaqt
husn-o-jamāl chhīn liyā guzre vaqt ne
chehre chhupā.e phirte haiñ ab gul-ruḳhān-e-vaqt
piine kī baat duur bahakte haiñ bin piye
saaqī se aañkh milte hī ye maikshān-e-vaqt
mahshar kī fikr kījiye 'mahshar' janāb aaj
kal ye na ho ki TuuT paḌe āsmān-e-vaqt
fursat agar ho paDhiye zara dastan-e-waqt
maghrur ho ke KHak hue hukmran-e-waqt
sajdon mein sar kaTa ke rahe hum hi sar-buland
hum kaamyab ho ke bane kaamran-e-waqt
mumkin nahin tha din-e-mohammad ne kar diya
har zarra regzar ka ek kahkashan-e-waqt
jo KHwahishat-e-nafs ke muddat se hon ghulam
kya inqilab laenge wo nau-jawan-e-waqt
husn-o-jamal chhin liya guzre waqt ne
chehre chhupae phirte hain ab gul-ruKHan-e-waqt
pine ki baat dur bahakte hain bin piye
saqi se aankh milte hi ye maikshan-e-waqt
mahshar ki fikr kijiye 'mahshar' janab aaj
kal ye na ho ki TuT paDe aasman-e-waqt
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.