fursat-e-hijr mein kuchh kar-e-tamasha hi sahi
fursat-e-hijr meñ kuchh kār-e-tamāsha hī sahī
tū nahīñ mujh ko mayassar to ye duniyā hī sahī
maiñ kisī rahm-o-karam par to nahīñ terī tarah
ziist kī raah pe ab chāhe maiñ tanhā hī sahī
qarya-e-ġhair meñ alfāz kā dam ghaTtā hai
fart-e-iz.hār ke pal apnā ilāqa hī sahī
pahle baḌh-chaḌh ke mohabbat meñ kiyā vaqt basar
ab zabūñ-hālī-e-jazbāt meñ itnā hī sahī
jaane vaale tū koī ik to bharam rahne de
kuchh na kuchh dil ke liye hāsil-e-rafta hī sahī
sarsarī rañj pe bantā hai hasan zabt magar
is bahāne se chalo varzish-e-girya hī sahī
fursat-e-hijr mein kuchh kar-e-tamasha hi sahi
tu nahin mujh ko mayassar to ye duniya hi sahi
main kisi rahm-o-karam par to nahin teri tarah
zist ki rah pe ab chahe main tanha hi sahi
qarya-e-ghair mein alfaz ka dam ghaTta hai
fart-e-izhaar ke pal apna ilaqa hi sahi
pahle baDh-chaDh ke mohabbat mein kiya waqt basar
ab zabun-haali-e-jazbaat mein itna hi sahi
jaane wale tu koi ek to bharam rahne de
kuchh na kuchh dil ke liye hasil-e-rafta hi sahi
sarsari ranj pe banta hai hasan zabt magar
is bahane se chalo warzish-e-girya hi sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.