fursat ek dam ki hai jun habab pani yan
fursat ek dam kī hai juuñ habāb paanī yaañ
ḳhaak ser ho kiije sair-e-zindagānī yaañ
ab to muñh dikhā apnā kaash ke tū ai piirī
mil ga.ī tirī ḳhātir ḳhaak meñ javānī yaañ
kyā ye pairahan tan kā juuñ habāb chamke thā
bāñdhī hai havā merī tū ne nā-tavānī yaañ
vaqt-e-girya mauzūñ ho kyuuñ na aah kā misra.a
rafta rafta ashk apnā ban gayā fuġhānī yaañ
jān-e-man mujhe har dam terā pās-e-ḳhātir hai
is liye maiñ kartā huuñ dam kī pāsbānī yaañ
us ke tīr-e-mizhgāñ se ho gayā jo dil chhalnī
besha-e-niyastāñ kī ham ne ḳhaak chhānī yaañ
gher tū ne jaame kā be-tarah baḌhāyā hai
ab zamīn nāpegā daur-e-āsmānī yaañ
aage us kī qāmat ke ek din jo akḌā thā
ḳhuub sā banā sīdhā sarv-e-bostānī yaañ
yaar kī galī maiñ tū jā ke baiTh mat rahnā
haal par mire rakhnā chashm-e-mehrbānī yaañ
qāsid-e-sarishk apnī tujh se hai ġharaz itnī
khaa.e gar vahāñ khānā piijo aa ke paanī yaañ
ḳhaar se ḳhalish rakhnā ai 'nasīr' bejā hai
hai ye ābla-pā.ī vaj.h-e-sar-girānī yaañ
fursat ek dam ki hai jun habab pani yan
KHak ser ho kije sair-e-zindagani yan
ab to munh dikha apna kash ke tu ai piri
mil gai teri KHatir KHak mein jawani yan
kya ye pairahan tan ka jun habab chamke tha
bandhi hai hawa meri tu ne na-tawani yan
waqt-e-girya mauzun ho kyun na aah ka misra
rafta rafta ashk apna ban gaya fughani yan
jaan-e-man mujhe har dam tera pas-e-KHatir hai
is liye main karta hun dam ki pasbani yan
us ke tir-e-mizhgan se ho gaya jo dil chhalni
besha-e-niyastan ki hum ne KHak chhani yan
gher tu ne jame ka be-tarah baDhaya hai
ab zamin napega daur-e-asmani yan
aage us ki qamat ke ek din jo akDa tha
KHub sa bana sidha sarw-e-bostani yan
yar ki gali main tu ja ke baiTh mat rahna
haal par mere rakhna chashm-e-mehrbani yan
qasid-e-sarishk apni tujh se hai gharaz itni
khae gar wahan khana pijo aa ke pani yan
KHar se KHalish rakhna ai 'nasir' beja hai
hai ye aabla-pai wajh-e-sar-girani yan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.