fursat mile kabhi to gareban mein jhankiye
fursat mile kabhī to garebāñ meñ jhāñkiye
ḳhud ko tū dekh le vo hunar bhī tarāshiye
achchhe-bure kā farq samajhnā bhī siikh le
duniyā ko ik nazar se hamesha na dekhiye
sūraj ugā to dhuup tire paas aa ga.ī
ab dhuup ko banāne kā da.avā na kījiye
duniyā meñ aur log bhī behtar haiñ aap se
duniyā ko dekh aur ye sach maan lījiye
jo kuchh milā tujhe vo ḳhudā ne atā kiyā
nādān apne aap ko sab kuchh na māniye
dil ko sukūñ jahāñ bhī mile us taraf chaleñ
jaanā na ho jidhar to udhar ruḳh na kījiye
fursat mile kabhi to gareban mein jhankiye
KHud ko tu dekh le wo hunar bhi tarashiye
achchhe-bure ka farq samajhna bhi sikh le
duniya ko ek nazar se hamesha na dekhiye
suraj uga to dhup tere pas aa gai
ab dhup ko banane ka dawa na kijiye
duniya mein aur log bhi behtar hain aap se
duniya ko dekh aur ye sach man lijiye
jo kuchh mila tujhe wo KHuda ne ata kiya
nadan apne aap ko sab kuchh na maniye
dil ko sukun jahan bhi mile us taraf chalen
jaana na ho jidhar to udhar ruKH na kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.