fursat se ab bhi ganw ki waqif ye dahr hai
fursat se ab bhī gaañv kī vāqif ye dahr hai
masrūf har koī hai jahāñ par vo shahr hai
sach bolne kī zid ne amar kar diyā use
suqrāt jāntā thā piyāle meñ zahr hai
ham tishnigān-e-karb-o-balā ḳhema-zan to haiñ
jab tak yazīd-e-vaqt ke qabze meñ nahr hai
tā'mīq o tuul kā ho asar un pe kis tarah
jo log jānte haiñ ki qatroñ meñ bahr hai
maiñ sochtā huuñ aap se nisbat kā silsila
merā ḳhulūs merī mohabbat ki mehr hai
aisī koī ḳhatā bhī nahīñ kī hai maiñ ne jab
nāzil mirī sadī pe kyoñ har lamha qahr hai
fursat se ab bhi ganw ki waqif ye dahr hai
masruf har koi hai jahan par wo shahr hai
sach bolne ki zid ne amar kar diya use
suqraat jaanta tha piyale mein zahr hai
hum tishnigan-e-karb-o-bala KHema-zan to hain
jab tak yazid-e-waqt ke qabze mein nahr hai
ta'miq o tul ka ho asar un pe kis tarah
jo log jaante hain ki qatron mein bahr hai
main sochta hun aap se nisbat ka silsila
mera KHulus meri mohabbat ki mehr hai
aisi koi KHata bhi nahin ki hai main ne jab
nazil meri sadi pe kyon har lamha qahr hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.